Thursday, December 6, 2018

tech news

how to buy good phone

make money

how to earn money online

Reservation ticket kaise book karen

hello Friends aaj ki is post me mai aap logo ko batane ja raha hu ki kaise aap Reservation Train Ticket ko book kar sakte ho. aur Reservation Train Ticket Book karte time apko kin kin bato ka dhyan Rakhana chahiye. in sabhi chijo ke bare me mai aap logo ko bataunga. dosto sabse pahle mai apko bata deta hu ki Reservation Train ticket kya hota hai ?


Reservation Train Ticket Kya Hota hai ? -

Friends Indian Railway ki Train me Travel karne ke liye apko Ticket ki jarurat hoti hai. Ticket 2 type ki hoti hai Reserve Ticket aur General Ticket , Generak Ticket me apki Seat Confirm nahi hoti hai. agar Train me Bheed kam hai to apko Seat milegi aur agar bheed jyada hai to apko kafi muskil hogi. wahi Reserve Ticket me apki Seat fix hoti hai Bheed chahe jitani ho apko apki seat khali milegi. Reserve Ticket Normal Ticket se Kafi Mahangi hoti hai. aur apko seat Reserve karwane ke liye kareeb 1 month pahle se hi ticket book karna padta hai. to friend ye to tha ki Reservation Train Ticket kya hota hai ? ab ham bat karte hai ki Reservation Train Ticket Book kaise kare ?


Reservation Train Ticket Kaise Book Kare -

Friends Reservation Train Ticket Book karne ke liye apke pass 2 option hai-
1- Ghar baithe aap irctc ki website par jakar online ticket book kar sakte ho. (e-Ticket).
2- Train Station par jakar Reservation Counter se (i-Ticket) .

To friends mere hisab se Ghar baithe online ticket book karna ak accha option hai. to chaliye aaj mai aap logo ko isi ke bare me batata hu. Ghar baithe online train ticket book karne ke liye apko niche diye gaye steps ko follow karna hoga.


  • Sabse pahle irctc ki official website par jaye aur waha sign up karke account bana le. agar account pahle se hai to Login kar le. 
  • Usake bad apko kaha se kaha jana hai likhe aur fir apke samne trains ki list aa jayegi jo train us date ko ja rahi hongi. apko uname se pahle train select karna hai. and then apko coach select karna hai. ac chahiye ya non ac usake bad apke samne Book Now ka optiom hoga apko us par click kar dena.  
  • Book Now par click karne ke bad apko apna name wagerah kuchh detail fill karni hongi aap unko sahi sahi fill kar de. usake bad apko payment karna hoga. bas apka ticket book ho jayega. 
Agar Apko Reservation Train Ticket Book karne me koi problem aa rahi hai. ya fir aap detail me har ak step ko dekhna chahte ho ki kaise train ticket book kiya jata hai to aap niche diya gaya video dekh sakte ho. is video me apko Reservation train ticket book karke dikhaya gaya hai. 

Read Also -


  • इस तरह Android Mobile में Keyboard और Mouse को Connect कर सकते हो
  • गैस सिलेंडर में लगी आग बुझाने का सबसे आसान तरीका


    • Friends i hope apko samjh me aa gaya hoga ki Reserve train ticket kaise book karte hai agar apka Reserve Train Ticket Booking se Related koi Sawal hai to aap niche comment karke puchh sakte ho.... isi tarah ki aur jankari pane ke liye aap hamari website ( www.kalpesu.com ) par samay samay par visit karte rahiye. ya fir CTRL + D button dabakar apne browser me bookmark kar ligiye.